Aah ko chahiyay ik umr asar honay tak Kon jeeta hai teri zulf keh sar honay tak

Daam-e-har mauj maiN hai halqa-e-sad kaam-e-nehang DekhaiN kya guzray hai qatray peh gauhar honay tak

Aashiqee sabr talab aur tamanna baitab Dil ka kya rang karooN khoon-e-jigar honay tak

Hum nay mana keh taghaful na karo gay laikin Khaak ho jaayeN gay hum tum ko khabar honay tak

Partau-e-khoor say hai shabnam ko fana kee taaleem MaiN bhee hooN aik inayat kee nazr honay tak

Yak nazr baish nahiN fursat-e-hastee ghafil Garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar honay tak

Gham-e-hastee ka 'Asad' phir say ho juzmarg ilaaj Shamma har rang maiN jaltee hai sehar honay tak

back to ghalib......