Hai bus keh har ik un keh isharay maiN nishaN aur
Kartay haiN mohabbat to guzarta hay gumaaN aur

Ya rab, woh na samjhay haiN na sumjhaiN gay meree baat
Day aur dil un ko jo na day mujh ko zubaaN aur

Abroo say hai kya us nigahay naaz ko paywand
Hai teer muqarrar, magar us kee hai kamaN aur

Tum sheher main ho to, humain kya ghumjab uthain gay
Lay aeyn gay bazar say ja kar dil-o-jaaN aur

Har chand subak dast hooay butshikani maiN
Hum hain to abhee rah maiN hay sang-e-giraN aur

Hay khoon-e-jigar josh maiN dil khol keh rota
Hotay jo kaee deeda-e-khooN naabah_fishaN aur

Marta hoon is awaz peh har chand sir ur jaaey
Jillaad ko laikin woh kahay jaaen keh "HaaN aur"

Logon ko hay khursheed-e-jahaN taab ka dhoka
Har roz dikhata hooN main ik daagh-e-nihaN aur

Layta, na agar dil tumhain deta, koee dum chaen
Karta, jo na marta koee din, aaho-o-fuGHaN aur

Paatay nahiN jab rah to chaRh jaatay haiN naalay
Ruktee hai meri taba' to hotee hay rawaN aur

HaiN aur bhee dunya maiN sukhanvar bohot achhay
Kehtay hain keh 'Ghalib' ka andaaz-e-bayaN aur