Har aik baat peh kehtay ho tum keh too kya hai?
Tumhee kaho keh yeh andaaz-e-guftugoo kya hai?

Na sholey maiN yeh karishma na barq maiN yeh ada
Koee batao keh woh shoKH-e-tund KHoo kya hai?

Yeh rashk hai keh wo hota hai hum-suKHan tumse
Wagarna khauf-e-bad_aamozi-e-udoo kya hai?

Chipak raha hai badan par lahoo say pairahan
Hamaree jaib ko ab haajat-e-rafoo kya hai?

Jala hai jism jahaN dil bhee jal gaya ho gaa
Kuredtay ho jo ab rakh, justujoo kya hai?

Ragon main dortay phirnay keh hum nahiN qayel
Jab aankh hee say na tapkaa to phir lahoo kya hai?

Woh cheez jis kay leeay ho hamaiN bahisht azeez
Siwaaey baada-e-gulfaam-e-mushkaboo kya hai?

PiyooN sharab agar KHam bhee dekh loon do chaar
Yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai?

Rahee na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhee
To kis umeed peh kahiye keh aarzoo kya hai?

Bana hai sheh ka masahib, phiray hai itraata
Wagarna shehar main 'Ghalib' kee aabroo kya hai?