Mehram nahiN hai too hee nava_haey raaz ka
YaaN warna jo hijaab hai, pardah hai saaz ka

Rang-e-shikasta subh-e-bahar-e-nazarah hai
Yeh waqt hai shugaftan-e-gulhaey_naaz ka

Too, aur soo-e-GHair nazar_haey taiz taiz
MaeN, aur dukh teri maszhah_haey daraaz ka

Sarfah hai zabt-e-aah maiN mera, wagarna maeN
Ta'mah hoon aik hee nafs-e-jaaN gudaaz ka

HaiN bus keh josh-e-badah say sheeshay uchhal rahay
Har goshah-e-basat hai, sar sheeshah baaz ka

Kaawish ka dil karay hai taqaazah,keh hai hanoz
NaKHun peh qarz, us girah-e-neembaz ka

Taraaj-e-kaawish-e-GHam-e-hijraN hooa 'Asad'
Seenah, keh tha dafeena gauhar haey raaz ka