Naqsh faryadee hai kis kee shoKHee-e-tehreer ka
KaGHazee hai pairahan har paikar-e-tasveer ka

Kaav-e-kaav-e saKHt janee haaey tanhaaee na poochh
Subho karna shaam ka laana hai joo-e-sheer ka

Jazba-e-be_iKHtiyar-e-shauq dekha chahiye
Seena-e-shamsheer say bahar hai dam shamsheer ka

Aagahee daam-e-shuneedan jis qadar chaahe bichhaae
Mudda'a unqa hai apnay alam-e-taqreer ka

Bus keh hoon 'Ghalib' aseeree maiN bhee aatish zair pa
Moo-e-aatish_deeda hai halqa meri zangeer ka