Mukhtalif Ashaar

Andaaz-e-bayaan gar che bohat khoob nahin hai
Shayad kay utar jaayay teray dil main meri baat

***

Toofan kar raha tha mere azm ka twaf
aur log samjhe ke kashti bhavar mein hai

***
Duniya jise kehte hain, bachche ka khilona hai,
Haath aaye tho mitti hai,kho jaye tho sona hai.

***
Teri ulfath meri veh'shat hi sahi,
meri veh'shat teri shoh'rath hi sahi.

***
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin miltha,
kahin zamin tho kahin aasman nahin miltha.
Tere jahan mein aisa nahin ke pyar nahin,
jahan umeed ho uskee ,wahan nahin miltha.

***

Hum mashriq kay musalmaanoan ka dil maghrib main jaa atka
hai Wahan kuntar sab billori hain yahan aik purana matka hai

***
Adab magrib bhi hai,adab mashrique bhi hai.
Wahan topi utarthi hai..yahan jootha utartha hai.

***

Ya khuda loag banaaye thay agar pathar kay
Meray ehsaas ko sheesha na banaya hota

***
Moti samajhkar shaane-kareemi ne chun liye,
Khathre jo the mere arkhe infe'aal ke.

***

Itnay majboor hain hum apni anaa ki khaatir
Raiza raiza bhi hooay aur bikhray bhi nahin

***
Maujuza shaq'qul khamer ka hai Madine se aayan,
Maah ne shaq hokar liya hai deen ko aagosh mein.

***

Meri dua hai kay too umr-e-jawidaan paaye
Na teray paas ghum-o-yaas kabhi aaye
Too muskuraaya to aihbaab muskuraa uthain
Tera wujood baharoan ki jaan kehlaaye

***
Humne maana ke khudaai darde-sar hai,
lekin bandagi ,astaghfirullah,yeh darde-sar nahin darde-jigar hai.

***

Wohee hai zindagi laikin Jigar yeh haal hai apna
Ke jaisay zindagi say zindagi kam hotee jaatee hai

***
Girni thi barqe tajalli humpe na toor pe,
dete hain ba'ada zarfe khadaqaar dekh kar.

***

Aye doast zindagi kay her aik moarrh per sadaa
Khushyoan say tera saamna uksur rahaa karay

***
Hue marke hum jo rusva ,hue kyon na garkhe dariya.
Na kabhi janaaza uth'tha ,na kahin mazaar hotha.
Yeh na thi hamaari kismet ke wisaale yaar hotha,
agar aur jeethe rahthe yahi intezaar hotha.

***
Bus ke dushwaar hai har kaam ka aasaan hona,
aadmi ko bhi muyassar nahin insaan hona.

***
Dost gumkhaari mein meri sayi farmayenge kya?
zakhm bhar jaane talak nahoon na badh aayenge kya?

***

Turk-e-talluq ko to bus aik lamhaa chahiyay
Laikin mujhay tamaam umr soachna parra

***

Ab kay hum bichhrray to shaayad kabhi khuaboan main milain
Jaisay sookhay hooay phool kitaaboan main milain

***

Hogai baat purani magar ab soachta hoon
Aam sa shakhse tha woh us pe dil aaya kaisay

***
Tu hi nadaan chand kaliyon par khina'ath kar gaya,
warna gulshan mein Ilaaje-tangiye-damaan bhi hai!

***

Bhari duniya main faqt mujh say nigaahain na churaa
Ishq per bus na chalay ga teri daanaai ka

***
Girthe hai sheh savaar hi maidaan-e-jung mein,
woh tifn kya girenge jo ghutnaon ke bal chale.

***

Teri duaa hai kay ho teri aarzoo poori
Meri dua hai kay teri aarzoo badal jaayay

***

Ta-umr dhhondta raha manzil main ishq ki
Anjaam yeh kay gard-e-safar lay kay aa gaya

***
Barbaad gulistaan karne ko sirf ek hi ulloo kaafi hai,
har shaaq pe ulloo baitha hai ,anjaame-gulistaan kya hoga.

***

Rahiyay ab aisee jagah chal kar jahan koi na ho
Hum-sukhan koi na ho aur hum-zabaan koi na ho

***

Ya rub woh na samjhain hain na samjhain gay meri baat
Dai aur dil un ko jo na day mujh ko zabaan aur

***
Mulke-adam mein yaraon kya eid ho rahi hai?
Kyon log jaa rahe hain kapde badal badal kar?

***
Woh baithe hue daman se dete hai ruaa'en ,
khuda kare ke hum na kabhi hosh mein aa'en.

***

Us moarr say shuroo karain phir yeh zindagi
Her shai jahan haseen thi hum tum thay ajnabi

***

Main bhi munh main zabaan rakhta hoon
Kash poochho kay muddaa kya hai

***

Day kay khat munh daikhta hai nama-bur
Kuchh to paigham-e-zabani aur hai

***

Tum bhi achhay thay raqeeb bhi achhay
Hum he buray thay humari guzar na hooi

***

Apnee soorat lagee paraai see
Jab kabhi hum nay aaina daikha
Teray jaanay main aur aanay main
Hum nay sadyoan ka faasla daikha
Dil kay deewaar-o-dur pay kya daikha
Bus teraa naam he likha daikha

***

Sitam to yeh hai ke woh bhi na bun saka apna
Qubool hum nay kiyay jis kay ghum khushee ki tarah
Kabhi na soacha tah hum nay Qateel us kay liay
Karay ga woh bhi sitam hum pay her kisi ki tarah

***

Shayad kay zameen hai woh kisi aur jahaan ki
Tu kis ko samajhta hai falak apnay jahaan ka

***

Yaad us ki itni khoob nahin Meer baaz aa
Nadaan phir woh jee say bhulaaya na jaayay ga

***

Shaayad yeh waqt hum say koi chaal chul gaya
Rishta wafa ka aur hi rangoan main chul gaya

***

Bay-shuk meray naseeb pay rukh apna ikhtiaar
Laikin meray naseeb main kya hai bataa to day
Main nay yeh kab kaha kay meray haque main ho jawaab
Laikin khamoash kyoon hai too koi faisla to day
Manzil na day charaagh na day hoasla to day
Tinkay ka he sahi magar aasra to day

***

Hum bhi tasleem ki hoo daalain gay
Bay-niyaazee teri aadat he sahi

***

Behtar to hai yehi kay na duniya say dil lagay
Per kya karain jo kaam na bay-dillagi challay

***

Ghalib chhuti sharaab per ab bhi kabhi kabhi
Peeta hoon roaz-e-abre shab-e-maahtaab main

***

Palkain bhi num karoa to zaraa aihtiyaat say
Daanish rafaaqatoan kay woh mausam guzar gayay

***

Tamaam waastay main aisay toarrh baithha hoon
Ke jaisay shehr main ab koi aashna he nahin

***

Taarruf roag ho jaayay to us ko bhoolna behtar
Taalluq boajh bun jaayay to us ko toarrhna achha
Woh afsaana jisay takmeel tak laana na ho mumkin
Usay ik khoobsoorat moarrh day kar chhorrna achha

***

Laayee hayaat aayay qazaa lai chali chalay
Apni khooshi na aayay na apnee khooshi chalay

***

Dhoond ujrhay hooay logoan main wafaa kay moti
Yeh khazanay tujhay mumkin hai kharaaboan main milain

***

Kum hoan gay is bisaat per hum jaisay bud-khumaar
Jo chaal hum chalay so nihaayat buri chalay

***

Koi meray dil say poochay teray teer-e-neem kush ko
Yeh khalish kahan say hoti jo jigar kay paar hota

***

Dil he to hai na sang-o-khisht dard say bhur na aayay kyon
Roayain gay hum hazaar bar koi hamain rulaayay kyoon

***

Tum na aayay to kya sahar na hoi
Haan magar chaain say basar na hooi

***

Barrhi mushkil say hum samjhay woh hum ko kya samajhtay hain
Jo achhay hain woh to her aik ko achha samajhtay hain

***

Ho mubarak tumhain maghrib ki tehzeeb sanam
Main kaisay bhooloon kay mashriq main hooa mera janam

***

Saadiq hoon apnay qoal ka Ghaalib khuda gawaah
Kehta hoon such kay jhhoot ki aadat nahin mujhay

***

Ilaahi aag lag jaayay is zoaq-e-mohabbat ko
Jalay koi maray koi andhera meri mehfil main