Hai bus keh har ik un keh isharay maiN nishaN
aur
Kartay haiN mohabbat to guzarta hay gumaaN aur
Ya rab, woh na samjhay haiN na sumjhaiN gay
meree baat
Day aur dil un ko jo na day mujh ko zubaaN aur
Abroo say hai kya us nigahay naaz ko paywand
Hai teer muqarrar, magar us kee hai kamaN aur
Tum sheher main ho to, humain kya ghumjab uthain
gay
Lay aeyn gay bazar say ja kar dil-o-jaaN aur
Har chand subak dast hooay butshikani maiN
Hum hain to abhee rah maiN hay sang-e-giraN aur
Hay khoon-e-jigar josh maiN dil khol keh rota
Hotay jo kaee deeda-e-khooN naabah_fishaN aur
Marta hoon is awaz peh har chand sir ur jaaey
Jillaad ko laikin woh kahay jaaen keh "HaaN aur"
Logon ko hay khursheed-e-jahaN taab ka dhoka
Har roz dikhata hooN main ik daagh-e-nihaN aur
Layta, na agar dil tumhain deta, koee dum chaen
Karta, jo na marta koee din, aaho-o-fuGHaN aur
Paatay nahiN jab rah to chaRh jaatay haiN naalay
Ruktee hai meri taba' to hotee hay rawaN aur
HaiN aur bhee dunya maiN sukhanvar bohot achhay
Kehtay hain keh 'Ghalib' ka andaaz-e-bayaN aur