Naqsh faryadee hai kis kee shoKHee-e-tehreer
ka
KaGHazee hai pairahan har paikar-e-tasveer ka
Kaav-e-kaav-e saKHt janee haaey tanhaaee na
poochh
Subho karna shaam ka laana hai joo-e-sheer ka
Jazba-e-be_iKHtiyar-e-shauq dekha chahiye
Seena-e-shamsheer say bahar hai dam shamsheer ka
Aagahee daam-e-shuneedan jis qadar chaahe bichhaae
Mudda'a unqa hai apnay alam-e-taqreer ka
Bus keh hoon 'Ghalib' aseeree maiN bhee aatish
zair pa
Moo-e-aatish_deeda hai halqa meri zangeer ka